dil me.n mahak rahe.n hai.n kisii aarazuu ke phuul
palakon me.n khilane vaale hai.n shaayad lahuu ke phuul 
 ab tak hai ko_ii baat mujhe yaad harf harf
ab tak mai.n chun rahaa huu.N kisii guftaguu ke phuul 
 [harf-harf=each and every letter (of the alphabet)]
[guftaguu=conversation] 
 kaliyaa.N chaTak rahii thii ki aavaaz thii ko_ii
ab tak sama'ato.n me.n hai ik Khush-guluu ke phuul 
[sama'ato.n=hearing; Khush-guluu=one with sweet voice]
 mere lahuu kaa rang hai har nok-e-Khaar par
seharaa me.n har taraf hai merii justajuu ke phuul 
[nok-e-Khaar=tip of the thorn; seharaa=desert/wilderness]
 diivaane kal jo log the phuulo.n ke ishq me.n
ab un ke daamano.n me.n bhare hai.n rafuu ke phuul 
No comments:
Post a Comment