Wednesday, October 31, 2007

aavaaragi hamaari pyaari-si thi kabhi jo

aavaaragi hamaari pyaari-si thi kabhi jo
vahi aaj hamako rulaane lagi hai
jo bharati thi dil mein tarange hamesha
vahi aaj dil ko jalaane lagi hai
aavaaragi hamaari

na koi gam na gila na koi shugaha ka nishaan
paayi thi har khushi har suquun hamako tha
nagame the, bahaaron ke tarannum har kaheen
phir bhi kyon ham bhataka kiye
yah tu hi bataa, aavaaragee, aavaaragi
aavaaragi hamaari ...

khaamoshiyaan hain har taraf, tanhaaiyaan hain har taraf
yaadon ke bhanvar se ab kaise nikalen
saathi na raha koi na koi hamasafar
zindagi ke safen par likhane ko
hai ab to bas aavaaragee, aavaaragi
aavaaragi hamaari ...

fir chhidee raat baat fulon kee

fir chhidee raat  baat fulon kee
raat hain yaa baaraat fulon kee

ful ke haar, ful ke gajare
shaam fulon kee, raat fulon kee

aap kaa saath saath fulon kaa
aap kee baat baat fulon kee

ful khilate rahenge duniyaan me
roj nikalegee, baat fulon kee

najare milatee hai, jaam milate hai
mil rahee hai, hayaat fulon kee

ye mahakatee huyee gajal makhadum
jaise seharaa me, raat fulon kee

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Mera Rang Roop Bigad Gaya
Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya
Jo Chaman Fiza Mein Ujad Gaya
Main Usi Ki Faasle Bahar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon

Main Kahan Rahoon Main Khahan Basu
Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush
Main Zamin Ki Peet Ka Boj Hoon
Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Pade Faatiha Koyi Aaye Kyon
Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon


Woh bhi to kuchh tadapa hoga mausam ki pehali baarish mein

Dekh mohabbat ka dastoor - 2
Tu muzhase main tuzhase door dil ki dhadakan kehati hain aaj koi aayega juroor

Woh bhi to kuchh tadapa hoga mausam ki pehali baarish mein - 2
Pyar mera yaad aaya hoga mausam ki pehali baarish mein
Woh bhi to kuchh tadapa hoga mausam ki pehali baarish mein

Udate udate jab do baadal ek huye honge parbat par - 3
Usaka daaman bhiga hoga mausam ki pehali baarish mein - 2
Pyar mera yaad aaya hoga mausam ki pehali baarish mein
Woh bhi to kuchh tadapa hoga mausam ki pehali baarish mein

Usane muzhe khat likhha hoga ashako se tanahai mein - 3
Aankh ka kaajal faila hoga mausam ki pehali baarish mein - 2
Pyar mera yaad aaya hoga mausam ki pehali baarish mein
Woh bhi to kuchh tadapa hoga mausam ki pehali baarish mein


Maana phool ki waadi mein rehata hain wo shokh hasi - 3
Yaad ka kata chubhata hoga mausam ki pehali baarish mein - 2
(Pyar mera yaad aaya hoga mausam ki pehali baarish mein

Woh bhi to kuchh tadapa hoga mausam ki pehali baarish mein) - 2
Mausam ki pehali baarish mein - 2

Chupke chupke shakiyon se woh baatein karna bhool gayi -

Chupke chupke shakiyon se woh baatein karna bhool gayi -2
Mujhko dekha panghath pe to
Mujhko dekha panghath pe to paani bharna bhool gayi
Chupke chupke shakiyon se woh baatein karna bhool gayi

Pehle shayad usko mere chehre ka andaaz na tha -2
Mujhse aankhen thakrayeen to
Mujhse aankhen thakrayeen to khud pe marna bhool gayi
Chupke chupke shakiyon se woh baatein karna bhool gayi

Sach poochho to meri wajah se usko aisa rog laga -2
Kajal mehndi kangan bindiya
Kajal mehndi kangan bindiya se sanwarna bhool gayi
Chupke chupke shakiyon se woh baatein karna bhool gayi

Kya jaane kab usse milne, aa jaaoon is khwaahish mein -2
Chhat par baithi rehti hai woh
Chhat par baithi rehti hai woh chhat se utarna bhool gayi
Chupke chupke shakiyon se woh baatein karna bhool gayi -2
Mujhko dekha panghath pe to
Mujhko dekha panghath pe to paani bharna bhool gayi
Chupke chupke shakiyon se woh baatein karna bhool gayi

Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan

Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan,
Zulfon Mein Sitare Bharlena,
Aise Hi Kabhi Jab Shaam Dhale,
Tab Yaad Hamen Bhi Karlena,
Aachal Mein Saja Lena Kaliyan..

Aaya Tha Yahan Begana Sa (2),
Chal Dunga Kahin Deewana Sa (2),
Deewane Ki Khatir Tum Koyi,
Ilzaam Na Apne Sar Lena,
Aise Hi Kabhi Jab Shaam Dhale,
Tab Yaad Hamen Bhi Kar Lena,
Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan..

Rasta Jo Mile Anjaan Koyi, (2)
Aajaaye Agar Toofan Koyi, (2)
Apne Ko Akela Jaan Ke Tum,
Aakhon Ne Aasun Bharlena,
Aise Hi Kabhi Jab Shaam Dhale,
Tab Yaad Hamen Bhi Kar Lena,
Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan..
Zulfon Mein Sitare Bharlena,
Aanchal Mein Saja Lena Kaliyan..

Ho, Chehra Hai Ya Chand Khila Hai


Ho, Chehra Hai Ya Chand Khila Hai
Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kyaa

Tu Kya Jaane Teri Khaatir
Kitna Hai Betaab Ye Dil
Tu Kya Jaane Dekh Raha Hai
Kaise Kaise Khwaab Ye Dil
Dil Kehta Hai Tu Hai Yahaan To
Jaata Lamha Tham Jaaye
Waqt Ka Dariya Behte Behte
Is Manzar Mein Jam Jaaye
Toone Deewana Dil Ko Banaaya
Is Dil Par Ilzaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya...

Ho, Aaj Maein Tujhse Door Sahi
Aur Tu Mujhse Anjaan Sahi
Tera Saath Nahin Paaun To
Khair Tera Armaan Sahi
Ye Armaan Hain Shor Nahin Ho
Khamoshi Ke Mele Hon
Is Duniya Mein Koi Nahin Ho
Hum Dono Hi Akele Hon
Tere Sapne Dekh Raha Hoon
Aur Mera Ab Kaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya...

Unka har aib zamane ko hunar lagta hai

Get this widget | Track details | eSnips Social DNA

jo baat tujh mein hai,
teree tasaweer mein nahee
tasaweer mein nahee

rangon mein teraa aks dhalaa, too naa dhal sakee
saanson kee aanch jism kee khushaboo naa dhal sakee
tujh mein jo loch hai, meree tahareer mein nahee
tahareer mein nahee
jo baat tujh mein hai,
teree tasaweer mein nahee

bejaan husn mein kahaan, raftaar kee adaa
inkaar kee adaa hai, naa ikaraar kee adaa
koee lachak bhee zulf-e-girahagir mein nahee
girahagir mein nahee
jo baat tujh mein hai,
teree tasaweer mein nahee

duniyaa mein koee cheez naheen hai teree tarah
phir ek baar saamane aajaa kisee tarah
kyaa aur ek jhalak meree taqadeer mein nahee
taqadeer mein nahee

jo baat tujh mein hai,
teree tasaweer mein nahee

Yeh raat yeh chaandni phir kahaan, sun jaa dil ki daastaan -2


Get this widget | Track details | eSnips Social DNA

Ha, ha ha ha ha ha, ha ha
Yeh raat yeh chaandni phir kahaan, sun jaa dil ki daastaan -2

Hm hm hm, hm hm hm

Hey pedo ki shaakhon pe
Pedo ki shaakhon pe soyi soyi chaandni, pedo ki shaakhon pe
Tere khayaalon mein khoyi khoyi chaandni
Aur thodi der mein thak ke laut jaayegi
Raat yeh bahar ki phir kabhi na aayegi
Do ek pal aur hai yeh samaa, sun ja dil ki daastaan

Hm hm hm, hm hm hm

Hey lehron ke hontho pe
Lehron ke hontho pe dheema dheema raag hai, lehron ke hontho pe
Bheegi hawaaon mein thandi thandhi aag hai
Is haseen aag mein tu bhi jalke dekhle
Zindagi ke geet ki dhun badal ke dekhle
Khulne de ab dhadkano ki zubaan, sun ja dil ki daastaan

Hey jaati bahaare hain
Jaati bahaare hain uthti jawaaniyan, jaati bahaare hain
Taaron ke chaaon mein pehle kahaaniyaan
(Ek baar chal diye gar tujhe pukaarke
Lautkar na aayenge qaafilen bahaar ke) -2
Aaja abhi zindagi hai jawaan, sun ja dil ki daastaan

Yeh raat yeh chaandni phir kahaan, sun jaa dil ki daastaan
Daastaan, daastaan

Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila

Get this widget | Track details | eSnips Social DNA

Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila

Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath
Kisko Phursat Hai Jo Thaame Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila
Humne To Jab...

Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge
Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila
Humne To Jab...

Eh meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahi

Get this widget | Track details | eSnips Social DNA


Eh meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahi
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan meri jaan
Eh meri zohra-jabeen…

Ye shokhiyaan ye baankpan,
Jo tujh mein hai kahi nahi
Dilo ko jeetne ka fan, jo tujh mein hai kahi nahi
Main teri…
Main teri aankho mein paa gaya do jahaan
Eh meri zohra-jabeen…

Tu meethhe bol jaan-e-man,
Jo muskuraake bol de
To dhadhkano mein aaj bhi,
Sharaabi rang ghol de
Oh sanam…
Oh sanam main tera aashiq-e-jaawida
Eh meri zohra-jabeen…

जो वादा किया वह निभाना पड़ेगा

Jo Vaada Kiya Woh Nibhaana Padega
Roke Zamaana Chaahe Roke Khudaai
Tumko Aana Padega

Tarasti Nigaahon Ne Aawaz Di Hai
Mohabbat Ki Aahon Ne Awaaz Di Hai
Jaane Hayaa Jaane Ada Chodo Tarsaana
Tumko Aana Padega

Ye Maana Hamein Jaan Se Jaana Padega
Par Ye Samajh Lo Tumne Jab Bhi Pukaara
Humko Aana Padega...

Hum Apni Wafaa Pe Na Ilzaam Lenge
Tumhe Dil Diya Hai Tumhe Jaan Bhi Denge
Jab Ishq Ka Sauda Kiya, Phir Kya Ghabraana
Humko Aana Padega

Chamakte Hain Jab Tak Yeh Chaand Aur Taare
Na Tootenge Ab Keh Do Paimaan Hamaare
Ek Doosra Jab De Sadaa Hoke Dewaana
Humko Aana Padega

Hindi Version:

जो वादा किया वह निभाना पड़ेगा
रोके ज़माना चाहे रोके खुदाई
तुमको आना पड़ेगा

तरसती निगाहों ने आवाज़ दी है
मोहब्बत कि आहों ने आवाज़ दी है
जाने हया जाने अदा छोडो तरसाना
तुमको आना पड़ेगा

य माना हमें जान से जान पड़ेगा
पर य समझ लो तुमने जब भी पुकारा
हमको आना पड़ेगा...

हम अपनी वफ़ा पे न इल्जाम लेंगे
तुम्हे दिल दिया है तुम्हे जान भी देंगे
जब इश्क का सौदा किया, फिर क्या घबराना
हमको आना पड़ेगा

चमकते हैं जब तक यह चाँद और तारे
न टूटेंगे आब कह दो पैमान हमारे
एक दूसरा जब दे सदा होके देवाना
हमको आना पड़ेगा

sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai


sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai
ilzaam aaiinoN pe lagaanaa fizuul hai

(ilzaam : accusation; fizuul : useless)

terii navaazisheN hoN to kaaNTaa bhii phuul hai
Gham bhii mujhe qubuul, Khushii bhii qubuul hai

(navaazish : generosity; qubuul : acceptable)

us paar ab to ko’ii teraa muntazir nahiiN
kacche GhaRe pe tair kar jaanaa fizuul hai

(muntazir : waiting)

jab bhii milaa hai zaKhm kaa tohfaa diyaa mujhe
dushman zaruur hai vo magar baa-usuul hai

(tohfaa : gift; baa-usuul : principled)

Anjum Rahbar

sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah

sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah

(mahfuuz : safe; lafz-o-bayaaN : words and description; daastaaN : story)

yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath de
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah

(rafaaqat : friendship; muKhtasar : short; havaa-e-sar-e-rahguzar : wind over the pathways; nakhat-e-raayegaaN : smell that is not of any use)

haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaa
mera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah

(ziin : saddle; maazii : past)

sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaa
raftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah

(sang : rocks; aazaar : difficulties)

KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah

(sail-e-balaa-Khez : ?)

Irfan Siddiqui

तुम ने कितने सपने देखे, मैं ने कितने गीत बुने

tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit bune
is duniyaa ke shor meN lekin dil kii dhaRkan kaun sune

sargam kii aavaaz pe sar dhunne vaale laakhoN paaye
naGhmoN kii khiltii kaliyaaN chun-ne vaale laakhoN paaye
raakh hu’aa dil jin meN jal kar vo angaare kaun chune
tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit sune

armaanoN ke suune ghar meN har aahaT be-gaanii niklii
dil ne jab nazdiik se dekhaa, har suurat anjaanii niklii
bojhal ghaRiyaaN ginte ginte sadme ho gaye laakh gune
tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit sune

Sahir Ludhianvi

Hindi version:

तुम ने कितने सपने देखे, मैं ने कितने गीत बुने
इस दुनिया के शोर में लेकिन दिल की धरकन कौन सुने

सरगम की आवाज़ पे सर धुनने वाले लाखों पाए
नाघ्मों की खिलती कलियाँ चुन-ने वाले लाखों पाए
राख ह’आ दिल जिन में जल कर वो अंगारे कौन चुने
तुम ने कितने सपने देखे, मैं ने कितने गीत सुने

अरमानों के सूने घर में हर आहात बे-जानी निकली
दिल ने जब नजदीक से देखा, हर सूरत अनजानी निकली
बोझल घरियाँ गिनते गिनते सदमे हो गए लाख गुने
तुम ने कितने सपने देखे, मैं ने कितने गीत सुने

साहिर लुधिंवी

चलो एक बार फिर से अजनबी बन जाएँ हम दोनों

chalo ek baar phir se ajnabii ban jaayeN ham donoN

na maiN tum se ko’ii ummiid rakhuuN dil navaazii kii
na tum merii taraf dekho Ghalat andaaz nazroN se
na mere dil kii dhaRkan laRkhaRaaye merii baatoN meN
na zaahir ho tumhaarii kash-ma-kash kaa raaz nazroN se

chalo ek baar phir se ajnabii ban jaayeN ham donoN

tumheN bhii ko’ii uljhan roktii hai pesh-kadmii se
mujhe bhii log kahte haiN ke ye jalve paraaye haiN
mere ham-raah bhii rusavaaiyaaN haiN mere maazii kii
tumhaare saath bhii guzrii hu’ii raatoN ke saaye haiN

ta’arruf rog ho jaaye to us ko bhuulnaa behtar
ta’alluq bojh ban jaaye to us ko toRnaa achchaa
vo afsaanaa jise ajnaam tak laanaa na ho mumkin
use ek Khuubsuurat moR dekar chhoRnaa achchaa

chalo ek baar phir se ajnabii ban jaayeN ham donoN

Hindi Version:

चलो एक बार फिर से अजनबी बन जाएँ हम दोनों

न मैं तुम से को’ई उम्मीद रखूँ दिल नवाजी की
न तुम मेरी तरफ देखो ग़लत अंदाज़ नज़रों से
न मेरे दिल की धरकन लार्खाराए मेरी बातों में
न ज़ाहिर हो तुम्हारी काश-माँ-काश का राज़ नज़रों से

चलो एक बार फिर से अजनबी बन जाएँ हम दोनों

तुम्हें भी को’ई उलझन रोकती है पेश-कदमी से
मुझे भी लोग कहते हैं के य जलवे पराये हैं
मेरे हम-राह भी रुसवाइयां हैं मेरे माजी की
तुम्हारे साथ भी गुजरी ह’ई रातों के साए हैं

त’अर्रुफ़ रोग हो जाये तो उस को भूलना बेहतर
त’अल्लुक बोझ बन जाये तो उस को तोरना अच्छा
वो अफ़साना जिसे अज्नाम तक लाना न हो मुमकिन
उसे एक खूबसूरत मोर देकर छोरना अच्छा

चलो एक बार फिर से अजनबी बन जाएँ हम दोनों

chaaNd maddham hai, aasmaaN chup hai

chaaNd maddham hai, aasmaaN chup hai
niiNd kii god meN jahaaN chup hai

duur vaadii meN duudhiyaa baadal
jhuk ke parbat ko pyaar karte haiN
dil meN naakaam hasrateN lekar
ham teraa intizaar karte haiN

in bahaaroN ke saaye meN aa jaa
phir muhabbat javaaN rahe na rahe
zindagii tere naa-muraadoN par
kal talak meh’rbaaN rahe na rahe

roz kii tarah aaj bhii taare
subh kii gard meN na kho jaayeN
aa ! tere Gham meN jaagtii aankheN
kam se kam aik raat so jaayeN

chaaNd maddham hai, aasmaaN chup hai
niiNd kii god meN jahaaN chup hai

English Translation by Anisur Rahman from Fire and the Rose: An Anthology of Modern Urdu Poetry

The moon is dim, the high sky silent,
in the lap of sleep, the worlds lie silent.

The milky clouds in far-off vales
bow down and kiss the mounts,
with unfulfilled desires in heart
I wait and wait around.

Come in the shade of this spring
who knows how long love lasts,
who knows how long this life
on the luckless ones its soothing shadows casts.

The stars, like all other days
must not be lost in dust,
come, for the eyes awake in your grief
a night’s sleep is a must.

The moon is dim, the high sky silent
in the lap of slee, the worlds lie silent.

Sahir लुधिंवी

चाँद मद्धम है, आसमान चुप है
नींद की गोद में जहाँ चुप है

दूर वादी में दूधिया बादल
झुक के परबत को प्यार करते हैं
दिल में नाकाम हसरतें लेकर
हम तेरा इंतिज़ार करते हैं

इन बहारों के साए में आ जा
फिर मुहब्बत जवान रहे न रहे
जिंदगी तेरे ना-मुरादों पर
कल तलक मह’र्बान रहे न रहे

रोज़ की तरह आज भी तारे
सुबह की गर्द में न खो जाएँ
आ ! तेरे घाम में जागती आँखें
कम से कम एक रात सो जाएँ

चाँद मद्धम है, आसमान चुप है
नींद की गोद में जहाँ चुप है

इंग्लिश ट्रांसलेशन बी अनिसुर रहमान फ्रॉम फायर ऎंड थे रोसे: अन अन्थोलोग्य ऑफ़ मोदेर्ण उर्दू पोएट्री

थे मून इस दीं, थे हाई स्काई सिलेंत,
इन थे लप ऑफ़ स्लीप, थे वोर्ल्ड्स लिए सिलेंत.

थे मिल्की क्लौड्स इन फार-ऑफ़ वालेस
बो दोवं ऎंड किस थे मौन्ट्स,
विथ उन्फुल्फिल्लेद देसिरेस इन हार्ट
इ वेट ऎंड वेट अरौंद.

काम इन थे शेड ऑफ़ थिस स्प्रिंग
व्हो क्नोव्स हाउ लॉन्ग लोवे लास्ट्स,
व्हो क्नोव्स हाउ लॉन्ग थिस लाइफ
ओं थे लुक्क्लेस ओंस इट्स सूथिंग शादोव्स कास्ट्स.

थे स्टार्स, लिके अल ओथेर देस
मुस्त नॉट बे लोस्त इन दुस्त,
काम, फॉर थे एएस अवाके इन यौर ग्रिएफ़
अ निघत’एस स्लीप इस अ मुस्त.

थे मून इस दीं, थे हाई स्काई सिलेंत
इन थे लप ऑफ़ सली, थे वोर्ल्ड्स लिए सिलेंत.

साहिर लुधिंवी



Tere Chehre Se Nazar Nahin Hat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen
Tujhe Milke Bhi Pyaas Nahin Ghat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen

Pighle Badan Teri Tapti Nigaahon Se
Sholon Ki Aanch Aaye Barfili Raahon Se
Lage Kadmonse Aag Lipat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Rangon Ki Barkha Hai Khushboo Ka Saath Hai
Kisko Pataa Hai Ab Din Hai Ke Raat Hai
Lage Duniya Hi Aaj Simat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Palkon Pe Failaa Teri Palkon Ka Saaya Hai
Chehre Mein Tere Mera Chehra Chhupaya Hai
Tere Jalwon Ki Chhund Nahin Chhat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Hindi Version:

तेरे चेहरे से नज़र नहीं हट टी
नजारे हम क्या देखें
तुझे मिलके भी प्यास नहीं घाट टी
नजारे हम क्या देखें

पिघले बदन तेरी तपती निगाहों से
शोलों की आंच आये बर्फीली राहों से
लगे कद्मोंसे आग लिपट टी
नजारे हम क्या देखें...

रंगों की बरखा है खुशबू का साथ है
किसको पता है अब दिन है के रात है
लगे दुनिया ही आज सिमट टी
नजारे हम क्या देखें...

पलकों पे फैला तेरी पलकों का साया है
चेहरे में तेरे मेरा चेहरा छुपाया है
Get this widget | Track details | eSnips Social DNA

तेरे जलवों की छुन्द नहीं छत टी
नजारे हम क्या देखें...

में हर एक पल का शायर हूँ

Maein Har Ek Pal Ka Shaayar Hoon
Har Ek Pal Meri Kahani Hai
Har Ek Pal Meri Hasti Hai
Har Ek Pal Meri Jawaani Hai

Rishton Ka Roop Badalta Hai, Buniyaden Khatam Nahin Hoti
Khwabon Ki Aur Umango Ki, Miyaden Khatam Nahin Hoti
Ek Phool Mein Tera Roop Basa Ek Phool Mein Meri Jawaani Hai
Ek Chehra Teri Nishaani Hai, Ek Chehra Meri Nishaani Hai
Maein Har Ek Pal Ka Shaayar Hoon...

Tujhko Mujhko Jeevan Amrit, Ab In Haathon Se Peena Hai
Inki Dhadkan Mein Basna Hai, Inki Saanson Mein Jeena Hai
Tu Apni Adaen Baksh Inhen Maein Apni Wafaen Deta Hoon
Jo Apne Liye Sochi Thi Kabhi, Woh Saari Duaen Deta Hoon

Maein Har Ek Pal Ka Shaayar Hoon...

Hindi version:
में हर एक पल का शायर हूँ
हर एक पल मेरी कहानी है
हर एक पल मेरी हस्ती है
हर एक पल मेरी जवानी है

रिश्तों का रूप बदलता है, बुनियादें खत्म नहीं होती
ख्वाबों की और उमंगो की, मियादें खत्म नहीं होती
एक फूल में तेरा रूप बसा एक फूल में मेरी जवानी है
एक चेहरा तेरी निशानी है, एक चेहरा मेरी निशानी है
में हर एक पल का शायर हूँ...

तुझको मुझको जीवन अमृत, अब इन हाथों से पीना है
इनकी धड़कन में बसना है, इनकी साँसों में जीना है
तू अपनी अदाएँ बक्श इन्हें में अपनी वाफएं देता हूँ
जो अपने लिए सोची थी कभी, वह सारी दुआएं देता हूँ
में हर एक पल का शायर हूँ...


To listen Click here:

Get this widget | Track details | eSnips Social DNA


Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai


Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

Hindi Version:

कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है
की जैसे तुझको बनाया गया है मेरे लिए
की जैसे तुझको बनाया गया है मेरे लिए
तू अबसे पहले सितारों में बस रही थी कहीं
तू अबसे पहले सितारों में बस रही थी कहीं
तुझे ज़मीन पे बुलाया गया है मेरे लिए
तुझे ज़मीन पे बुलाया गया है मेरे लिए

कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है
की य बदन य निगाहें मेरी अमानत हैं
की य बदन य निगाहें मेरी अमानत हैं
य गेसुओं की घनी छाओं हैं मेरी खातिर
य होंठ और य बाहें मेरी अमानत हैं
य होंठ और य बाहें मेरी अमानत हैं

कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है
की जैसे बजती हैं शेह्नाइयां सी राहों में
की जैसे बजती हैं शेह्नाइयां सी राहों में
सुहाग रात हैं घूंघट उठा रहा हूँ में
सुहाग रात हैं घूंघट उठा रहा हूँ में
सिमट रही है तू शर्मा के अपनी बाहों में
सिमट रही है तू शर्मा के अपनी बाहों में

कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है
की जैसे तू मुझे चाहेगी उम्र भर यूहीं
उठेगी मेरी तरफ प्यार की नज़र यूहीं
में जानता हूँ की तू गिर है मगर यूहीं
में जानता हूँ की तू गिर है मगर यूहीं

कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है
कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है

Click Here To listen

Get this widget | Track details | eSnips Social DNA

Friday, October 26, 2007

angDai par angDai leti hai raat judaaee kee

    angDai par angDai leti hai raat judaaee kee
tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN
maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee

wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee

uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya
rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee

milkar juda huye tho na soya karenge hum

    milkar juda huye tho na soya karenge hum
ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum

aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar

moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum

Ye bhi Kya ehsaaN kam hai dekhiye na aap ka

Ye bhi Kya ehsaaN kam hai dekhiye na aap ka
ho raha hai har taraF charcha humara aap ka

chaanD meiN to daaG hai par aape mein wo bhi nahiN
chaudHwi ke chaanD se baDhke hai chechra aap ka

isHq meiN aise bhi hum dooBe huye haiN aap-ke
apne chechRe pe sada hota hai dhoKha aap ka

chaanD-suraJ, dhoop-subaHah, keh-kasHa taare-shama
haR ujaale ne churaaYa hai uJaala aap ka

maiN pilaakaR aapka kya jaaYeGa

maiN pilaakaR aapka kya jaaYeGa
jaaYega eemaaN jiska jaaYeGa

dekHkar mujhKo wo sharmaa jaaYeGa
Ye tamaasHa kis-se dekha jaaYeGa

jaaooN buth-khaane se kyoon kaabe ko maiN
haaTh se ye bhi Thikaana jaaYeGa


qaTl ki jab usne di dhamKi mujHe
keH diya maiNe bhi deKha jaaYeGa

pee bhi le do ghooNt zaahiD pee bhi le
maiqade se kaun pyaasa jaaYeGa

jaB bHi tanhaaYee se ghabraaKe simaT jaate haiN

jaB bHi tanhaaYee se ghabraaKe simaT jaate haiN
Hum teri yaaD ke daaman se lipaT jaate haiN

unpe thoofaN ko bhi afSoS hua karta hai
wo safine jo kinaroN pe ulaT jaate haiN

Hum to aaye the' raheN saaKh meiN phooloN ki tarah
tum agar haar samajhte ho to haT jaate haiN

huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon

     huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon
idhar say guzra tha soncha salaam karta chaloon

nikha-o-dil ki yahi aakhri tamanna hai
tumhari zulf kay saayey mein shaam karta chaloon

unhay yeh zid ki mujhay dekh kar kisi ko na dekh
mera yeh shauk ke sabsay qalaam karta chaloon

yeh mere khaboN ki duniya nahin sahi lekin
ab aa gaya hooN to do din qyaam karta chaloon

dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede

    dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede
fir se ek baar muJhe meri jawaani dede


abR ho jaam ho saaki ho mere pehloo meiN
koi to shaam muJhe aisi suhaani dede

nasha aa jaye muJhe teri jawaani ki kasam
tu agar jaam meiN bhar ke muJhe paani dede

har jawaN dil mere afsaanoN ko dohraata rahe
hashR tak khatM na ho aisi kahaani dede

maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN

     maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN
lekin hawa ke rehmo-karam par nahiN hoon maiN

insaan hooN dhaDkte huye dil par haath rakh
yoon doob kar na dekh samandar nahiN hoon maiN

chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki
aaiynaa haath meiN hai sikandar nahiN hoon maiN

'ghalib' tere zameen meiN likhi to hai ghazal
tere kad-e-sukhan ke baraabar nahiN hoon maiN

aisa lagta hai zindagi tum ho

    aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee kaise ajnabee tum ho

ab koi aarzoo nahin baakee
justjoo meri aakhri tum ho

main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanoN ki chandni tum ho

dostoN se wafa ki ummeedeN
kis zamaane ke aadmi tum ho

shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta

     shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta
sach muuh se nikal jaata hai koshish nahin karta

girti huyee diwaar ka humdard hooN lekin
chaDhte huye sooraj ki parasthish nahin karta

maathe ke paseene ki mahak aaye na jaisi
wo khoon mere jisM meiN gardish nahin karta

humdard ye ehbaab se darta hoon 'Muzaffar'
main zakhm to rakhta hoon numaish nahin karta

safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo

     safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo
sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo

kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo

yahan kisi ko koi raasta nahin deta
muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo

yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN
inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo

Tuesday, October 23, 2007

Jawani Ke Heele Haya Ke Bahane

rtist: Jagjit Singh
Album: Passions - Black Magic

javaanii ke hiile hayaa ke bahaane ye maanaa ke tum mujhase pardaa karogii
ye duniyaa magar tujh sii bholii nahiin hai chhupaake muhabbat ko rusvaa karogii

baDii koshishon se baDii Khvaahishon se tamannaa ke sahamii huii saazishon se
milegaa jo maukaa to bechain hokar dariichon se tum mujhako dekhaa karogii

sataayegii jab chaaNdanii kii udaasii dukhaayegii dil jab fizaa kii Khamoshii
ufaq kii tarah Khaalii nazaren jamaakar kabhii jo na sochaa vo sochaa karogii

kabhii dil kii dhaDakan mahasuus hogii kabhii thanDii saaNson kii tuufaaN uThegii
kabhii gir ke bistar pe aahen bharogii kabhii jhuk ke takiye pe royaa करोग

हिन्दी

जवानी के हीले हया के बहाने य माना के तुम मुझसे पर्दा करोगी
य दुनिया मगर तुझ सी भोली नहीं है छुपाके मुहब्बत को रुसवा करोगी

बड़ी कोशिशों से बड़ी ख्वाहिशों से तमन्ना के सहमी हुई साजिशों से
मिलेगा जो मौका तो बेचैन होकर दरीचों से तुम मुझको देखा करोगी

सतायेगी जब चांदनी की उदासी दुखायेगी दिल जब फिजा की खामोशी
उफक की तरह खाली नज़रें जमाकर कभी जो न सोचा वो सोचा करोगी

कभी दिल की धड़कन महसूस होगी कभी ठंडी साँसों की तूफ़ान उठेगी
कभी गिर के बिस्तर पे आहें भरोगी कभी झुक के तकिये पे रोया करोगी

Agar Hum Kahen Aur Woh Muskura Den

Artist: Jagjit Singh
Album: Passions - Black Magic

agar ham kahen aur vo muskuraa den
ham unake liye zindagaanii luTaa den

har ik moD par ham Gamon ko sazaa den
chalo zindagii ko muhabbat banaa den

agar Khud ko bhuule to kuchh bhii na bhuule
ke chaahat men unakii Khudaa ko bhulaa den

kabhii Gam kii aaNdhii jinhen chhuu na paaye
vafaa ke ham vo nasheman banaa den

qayaamat ke diivaane kahate hain hamase
chalo unake chehare se pardaa haTaa den

sazaa de silaa de, banaa de miTaa den
magar vo koii faisalaa to sunaa den

In HIndi:

आर्टिस्ट: जगजीत सिंह
एल्बम: पस्सिओंस - ब्लैक मैजिक

अगर हम कहें और वो मुस्कुरा दें
हम उनके लिए जिंदगानी लुटा दें

हर इक मोड़ पर हम ग़मों को सज़ा दें
चलो जिंदगी को मुहब्बत बना दें

अगर खुद को भूले तो कुछ भी न भूले
के चाहत में उनकी खुदा को भुला दें

कभी गम की आंधी जिन्हें छू न पाए
वफ़ा के हम वो नशेमन बना दें

क़यामत के दीवाने कहते हैं हमसे
चलो उनके चहरे से पर्दा हटा दें

सज़ा दे सिला दे, बना दे मिटा दें
मगर वो कोई फैसला तो सूना दें

Sunday, October 7, 2007

फिर से मौसम बहारों का आने को है

फिर से मौसम बहारों का आने को है,
फिर से रंगीन ज़माना बदल जायेगा,
अबकी बज़्म चरागों सजा लेंगे हम,
ये भी अरमान दिल का निकल जायेगा,

आप करदे जो मुझको निगाहें करम,
मेरी उल्फत का रह जायेगा कुछ भरम,
यूं फ़साना तो मेरा रहेगा यही,
सिर्फ़ उनवान उसका बदल जायेगा,

फीकी फीकी सी क्यूँ शाम-ऐ-मएखाना है,
लुत्फ़ साकी भी कम खाली पैमाना है,
अपनी नज़रों से ही कुछ पिला दी जिए,
रंग महफिल का ख़ुद ही बदल जायेगा,

मेरे मिटने का उनको ज़रा गम नहीं,
जुल्फ भी उनकी ऐ दोस्त वार हम नहीं,
अपने होने न होने से होता है क्या,
काम दुनिया का यु ही तो चल जायेगा,

आपने दिल जो ज़ाहिद का तोडा तो क्या,
आपने उसकी दुनिया को छोड़ा तो क्या,
आप इतने तो आख़िर परेशान न हों,
वो संभलते संभलते संभल जायेगा,