Monday, September 17, 2007

gulshan ki faqat phooloN se nahiN, kaaNToN se bhi zeenat hoti hai

jeene ke liye is duniyaa meiN GHam ki bhi zaroorat hoti hai

ae waaiz-e-naadaaN kartaa hai too ek qayaamat kaa charchaa

yahaaN roz nigaaheN milti haiN, yahaaN roz qayaamat hoti hai

woh purshish-e-GHam ko aaye haiN, kuchh keh na sakooN, chup reh na sakooN

KHaamosh rahooN to mushkil hai, keh dooN to shikaayat hoti hai

karnaa hi padegaa zapt-e-alam, peene hi padeNge yeh aaNsoo

faryaad-o-fuGHaaN se ai naadaaN, tauheeN-e-muhabbat hoti hai


jo aa ke ruke daaman pe 'Saba' woh ashq nahiN hai paani hai!

jo ashk na chhalke aaNkhoN se us ashk ki qeemat hoti hai

Gulshan ki fakat phoolon say nahin, kaanto say bhi zeenat hoti hai,

Jeenay kay liyey is duniya may, gham ki bhi zaroorat hoti hai !

Hindi Version:

गुलशन कि फकात फूलों से नहीं, काँटों से भी जीनत होती है
जीने के लिए इस दुनिया में घाम कि भी ज़रूरत होती है

ए वाइज़-ए-नादाँ कर्ता है तू एक क़यामत का चर्चा
यहां रोज़ निगाहें मिलती हैं, यहां रोज़ क़यामत होती है

वोः पुर्शिश-ए-घाम को आये हैं, कुछ कह ना सकूं, चुप रह ना सकूं
खामोश रहूँ तो मुश्किल है, कह दूं तो शिकायत होती हैं

करना ही पडेगा ज़ाप्त-ए-आलम, पीने ही पड़ेंगे येह आंसू
फर्याद-ओ-फुघां से ई नादाँ, तौहीन-ए-मुहब्बत होती हैj
आ के रुके दामन पे 'सबा' वोह अश्क नहीं है पानी है!

जो अश्क ना छलके आंखों से उस अश्क कि कीमत होती है

गुलशन कि फकत फूलों सय नहीं, कांटो सय भी जीनत होती है,

जीने के लिये इस दुनिया मई, घाम कि भी ज़रूरत होती है !

No comments: