Wednesday, September 5, 2007

itnii muddat baad mile ho

itnii muddat baad mile ho
kin sochoN meN gum rahte ho

(muddat : duration; soch : thoughts)

tez havaa ne mujh se puuchhaa
ret pe kyaa likhte rahte ho

(ret : sand)

kaun sii baat hai tum meN aisii
itne achchhe kyuN lagte ho

ham se na puuchho hijr ke qisse
apnii kaho ab tum kaise ho

(hijr : separation; qisse : tales)

Mohsin Naqvi

No comments: