Wednesday, September 5, 2007

jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad

jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad
aur baRh jaatii hai afsurdaa-dilii shaam ke baad

(afsurdaa-dilii : sadness of heart)

ab iraadoN pe bharosaa hai na taubaa pe yaqiiN
mujh ko le jaaye kahaaN tashnaa-labii shaam ke baad

(iraadoN : on promises; taubaa : penitence; tashnaa-labii : thirst of the lips)

yuN to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzraa
dil ko mehsuus hu’ii terii kamii shaam ke baad

(lamhaa : moment; bojhal : difficult)

yuN to kuchh shaam se pahle bhii udaasii thii “Adeeb”
ab to kuchh aur baRhii dil kii lagii shaam ke baad

Krishan Adeeb

No comments: