Tuesday, September 4, 2007

ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye

ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

o jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye

kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye

jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

kya kya tavaqqoat thi aahoN se ai ‘Khumar’
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye

Khumar Barabankvi

No comments: