ye mojezaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe
ke sang tujh pe gire aur zaKhm aaye mujhe
(mojezaa : miracle; sang : stone)
vo mehrbaaN hai to iqraar kyuuN nahiiN kartaa
vo badgumaaN hai to sau baar aazmaaye mujhe
maiN apne paaNv tale rauNdataa huuN saaye ko
badan meraa hii sahii do-pahar na bhaaye mujhe
maiN ghar se terii tamannaa pahan ke jab nikluuN
barahnaa shahar meN ko’ii nazar na aaye mujhe
(barahnaa : naked)
vo meraa dost hai saare jahaaN ko hai maaluum
daGhaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe
maiN apanii zaat meN niilaam ho rahaa huuN ‘Qateel’
Gham-e-hayaat se kah do Khariid laaye mujhe
Qateel Shifai
No comments:
Post a Comment