Tuesday, September 4, 2007

hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai


hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai
usii meN vaqt kaa saaraa hisaab likhaa hai

(baab : chapter; hisaab : calculation)

kuch aur kaam to ham se na ho sakaa lekin
tumhaare hijr kaa ek ek azaab likhaa hai

(hijr : separation; azaab : punishment)

suluuk nishtaroN jaisaa na keejiye ham se
hameshaa aap ko ham ne gulaab likhaa hai

(nishtar : dagger; gulaab : rose)

tere vajuud ko mahsuus umr bhar hogaa
tere laboN pe jo ham ne javaab likhaa hai

(vajuud : existence; mahsuus : felt; javaab : answer)

hu’aa fasaad to us meN nahiiN kisii kaa qusuur
havaa-e-shah’r ne mausam Kharaab likhaa hai

(fasaad : riot; qusuur : fault; havaa : wind; shah’r : city)

agar yaqiiN nahiiN to uThaaiye taariiKh
hamaaraa naam basad aab-o-taab likhaa hai

(basad : with; aab-o-taab : splendour)

Manzar Bhopali

Hindi version:

हमारे दिल पे जो ज्मों का बाब लिखा है
उसी में वक़्त का सारा हिसाब लिखा है

(बाब : चप्तेर; हिसाब : काल्कुलाशन)

कुछ और काम तो हम से ना हो सका लेकिन
तुम्हारे हिज्र का एक एक अज़ाब लिखा है

(हिज्र : सेपरेशन; अज़ाब : पुनिश्मेंत)

सुलूक निश्तारों जैसा ना कीजिये हम से
हमेशा आप को हम ने गुलाब लिखा है

(निश्तर : डग्गेर; गुलाब : रोसे)

तेरे वजूद को महसूस उम्र भर होगा
तेरे लबों पे जो हम ने जवाब लिखा है

(वजूद : एक्षिस्तेन्के; महसूस : फेल्ट; जवाब : अन्स्वेर)

हु’आ फसाद तो उस में नहीं किसी का कुसूर
हवा-ए-शाह’र ने मौसम ख़राब लिखा है

(फसाद : रिओत; कुसूर : फूलत; हवा : विंड; शाह’र : सिटी)

अगर यकीं नहीं तो उठाइये तारीख
हमारा नाम बसद आब-ओ-ताब लिखा है

(बसद : विथ; आब-ओ-ताब : स्प्लेंदौर)

मंज़र भोपाली



No comments: