Tuesday, September 4, 2007

simTe baithe ho kyuN buzdiloN ki tarah

simTe baithe ho kyuN buzdiloN ki tarah
aao maidaan meiN ghaazioN ki tarah

kaun rakhtaa hameiN motion ki tarah
mil gaye khaq meiN aaNsuoN ki tarah

noor-o-nikHat se maamuur yaadeiN terii
khushbuoN ki tarah, jugnuoN ki tarah

raushnii kab itnii mere shehar meiN
jal rahe haiN makaaN mashGaloN ki tarah

daad deejiye ke ham jee rahe haiN wahaaN
haiN muhaafiz jahaaN qaatiloN ki tarah

zindagii ab hamaarii Khataa baksh de
dost milne lage, muhsinoN ki tarah

kaise Allah waale haiN ye ai Khudaa
guftuguu, mashware saazishoN ki tarah

merii baatooN pe haNstii hai duniyaa abhii
maiN sunaa jaooNgaa faisloN ki tarah

tum bhi darbaar meiN haazirii do Hafeez
phir rahe ho kahaaN muflisoN ki tarah

Hafeez Meeruti

No comments: