Tuesday, September 4, 2007

sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuch bhii nahiiN

sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuch bhii nahiiN
maaNgaa Khudaa se raat din tere sivaa kuch bhii nahiiN

dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuch bhii nahiiN

jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaaye raat bhar
bhejaa wahii kaaGhaz use hamane likhaa kuch bhii nahiiN

ik shaam kii dahliiz par baiThe rahe vo der tak
aaNkhoN se kii baateN bahut muuNh se kahaa kuch bhii नहीं

(dahliiz : threshold)

do chaar din kii baat hai dil Khaak meN so jaayegaa
jab aag par kaaGhaz rakhaa baakii bachaa kuch bhii nahiiN

ahsaas kii Khushbuu kahaaN, aavaaz ke jugnuu kahaaN
Khaamosh yaadoN ke sivaa, ghar meN rahaa kuch bhii nahiiN

Bashir Badr

No comments: