vo nahiiN hai to us kii aas rahe
aik jaaye to aik paas rahe
jab bhii kasne lagaa, utaar diyaa
is badan par ka’ii libaas rahe
(libaas : dress, clothes)
aik din maiN agar lahuu pii luuN
ka’ii din bartanoN meN baas rahe
(bartan : vessel)
donoN ek duusre kaa muuNh dekheN
aaiinaa, aaiine ke paas rahe
aaj ham sab ke saath Khuub haNse
aur phir der tak udaas rahe
Bashir Badr
No comments:
Post a Comment